Maulana Shams Naved Usmani Rahmatullahi alaih Ulama se kaise milte the?
Faisal Arafat bhai ke sawal aur mere jawab is Dialogue me hain. Faisal Bhai ne is link par diya hua article
Padhkar yh likha: Waaah sir purani charcha yaad aa gyi..
...........sir, Maine Sajjad nomani sahab se Suna hai ki shams naved rh apni baaton Ko ulema se check krwana chahte the...iski satyta kya hai?
Or sir ye bhi aap btaiye ki vedon ka upyog Kis had tk Kiya jaaye or agar madwoo Aarya samaji ya jankar nikla to usse kaise deal Kiya jaye?
Kyunki aajkal bheed Ko sambodhit kr rha Hun....to tayyari ke saath field me rhna chhata Hun....ki km se km basic baaton me Mai na fasun
❤️
Jawab: Hazrat Maulana shams naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh ulama ke gharane mein hi paida hue the aur unhen amaul ki psychology ki bahut zyada aur bahut gehri knowledge thi.
Aap yad rakhen ki aap kabhi bhi ulama ke pass jaen to unhen koi baat sikhane ki koshish Na Karen aur na hi aap unse yah kahen ki yah baat aap nhi jaante aur main yh aapko sikhana chahta hun.
Yh ulama se baat karne ke aadaab ke khilaf hai.
Iske bajay aap unke samne ghutne mod kar baith jayen taki aapki taraf se adab zahir ho. Ab aao unse nihayat aajizi se request karen ki Hazrat main apni islaah ke liye aapki khidmat me hazir hua hun. maine yh aur yh padha hai. Meharbani karke aap check Karen ki ismen Kaun si baat sahi hai aur Kaun si baat galat hai taki meri akhirat mehfooz rahe. Main aapka bahut shukrguzar rahunga. Deen ki jin bariliyon aur nazakaton se aap waqif hain, main unhe nhi jaanta.
aise aadami se ulama bahut khush hote Hain Jo unke samne apne aap ko Chhota banakar pesh karta hai. Unka adab karta hai.
Ba adab ba naseeb
Be adab be naseeb
🌳💐🌳
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh khud ko ulama to kya, aam aadmi ke saamne bhi bahut chhota bana kar pesh karte the. Woh aam anpadh mazduron se bhi bahut izzat dekar bahut narmi se request karte the.
Yh unki aadat thi.
Unka ilm, unki hikmat unki aadat me dhal chuki thi.
Isse woh apne andar ilmi takabbur ko panapne se rokte the. Woh har waqt apne nafs par nazar nazar rakhte the.
Isi ke sath woh dusro ki feelings hurt karne se bhi bachte the.
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh ne apni poori zindgi me Ulama me kami batane ke liye kabhi ek line bhi nhi likhi.
🌳💐🌳
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh mujhe sath lekar Deoband ke Kai aalimo ke paas gaye. Ab aisa lagta hai ki woh mujhe gawah bhi bana rahe the aur meri tarbiyat bhi kar rahe the.
Maine dekha ki Deoband ke ulama umka ilm, unki aajizi, unke akhlaq aur unki khandani nisbat dekh kar unki bahut izzat karte the.
Unki hikmat ki eajah se kuchh aalim unke sath fauran jud gaye aur kuchh bade aalimo ne baad me unke khaas tareeqa e dawat ko unke shagirdon se seekha.
🌳💐🌳
Lagatar naye naye ulama unke tareeqe se jud rahe hain.
Alhamdulillah!
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh ne mujhe yh bhi bataya tha ki unhone apne kaam ke baare me Maulana Abul Aala Maudoodi Rahmatullahi alayh ko khat ke zariye jankari bheji thi to Maulana Maudoodi rh. ne khat likh kar unke kaam ki tayeed ki thi aur unhe apna kaam jari rakhne ke liye kaha tha aur unhe dua di thi.
🌳💐🌳
Jab ek aalim kisi subject ko padhne par razi ho jaaye aur uski fauqiyat, uski azmat ko challenge na kiya ja raha ho to is baat ke imkan zyada hote hain ki woh us ilm ki ifadiyat ko dekh kar use qubool kar sakta hai.
🌳💐🌳
Jab koi aalim aapse ilm sikhne par razi ho jaaye,
Tab bhi aap use khud ko khadim kah kah kar use poora subject padhayen aur woh padh lega.
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh khud ko khadim kahte aur maante the.
...Aur woh aisa dil se maante the.
🌳💐🌳
Aap Vedon ka istemal is had tak karen ki Quran ki baat ki tasdeeq ho jaaye.
Koi Arya samaji Dawat ke maqam par mil jaaye to aap usse dawat ke maqam par khayalat ke len den ko avoid karen.
Aap usse kahen ki Bhai, aap mujhe apna sawal aur Mobile no. likh kar de den,
Main is par ghaur karunga. Abhi hame kuchh dusre zururi kaam dekhne hain. Fursat me in sawalon par bhi baat hogi.
Tab tak aap misconception about Islam walo se facebook aur whatsapp par jud jayen aur unhone jo videos banaye hain, aap unhe dekh len. ls tarah aap faltu ki bahas se bach jayenge.
Aap Arya Samajiyon se faltu bahas karne se bachen kyonki ye log baat karne ke naam par mazaq udaa kar ghussa dilate hain taki mahaul kharab ho jaaye.
🍏
Aap Dawat ke liye jaane se pahle hamesha Salatul hajat padhen.
Allah se tanhayi me Dua karen ki aap ghalib rahen aur log aapki baat sunl kar khush ho jayen aur woh use qubool karen.
Namaz ke baad aap guman aur tasawwur karen ki
Allah ne aapki dua qubul karke wohi kar diya hai jo aap chahte the.
Aap ghalib hain.
Sab log Haq baat ko dil se khush hokar maan rahe hain aur sab Rab ke saamne sajda kar rahe hain.
Aap kah rahe hain:
Alhamdulillah.
Yh aapko bilkul real lagna chahiye.
Aap kuchh der is manzar me gharq ho jaayen goya ki aap us manzar ka hissa hain.
Aap is manzar me participant hain.
Is scene ko first person perspective se dekhen.
🕋🌴🌴🌴
Is tarah aap infinite probabilities me se ek ko select kar lete hain aur is tarah aap apne Dil me yani *aalam e amr* me use muqarrar kar dete hain.
Phir Rab use apne Qanune Qudrat ke mutabiq *aalam e khalq* yani physical world me materialize kar deta hai.
🌴
Yahan kuchh bhi nhi hota.
Yahan wohi hota h
Jo Allah ka hukm hota h.
Aur Allah apne bande ke guman ke mutabiq karta hai.
Dil jitna zyada waswason, ghairullah ke Dar, gham aur shak se paak hota hai, utna zyada gumaan poore hote hain.
🌴
Jitni zyada bhawna rone ki ya khushi ki is manzar ko di jati hai, utni jaldi yh poori ho jata hai.
Yh dil ki kamayi hai.
Aap Dawat karen to apni Dil ki kamayi par bhi dhyan den.
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh apne zahir aur batin se, apne Dil se, apne badan se, apne poore wujood se aur poore jazbe se Dawat ka amal anjam dete the.
Woh Hamesha Dil ko appeal karte hue Daleel dete the. Is baat ko samajhna bahut zururi hai.
Aksar muballigh dayee zyada focus zahiri amal par rakhte hain. Woh kam kam dalta hai aur kam result deta hai, jisse Dawati bhai bahano me mayusi aati hai aur kuchh waqt baad dawat ka amal chhod dete hain.
🕋🌴🌴🌴
Maulana Shams Naved Usmani Sahab Rahmatullahi alayh Dawat ke amal ko apne nafs ki islaah ke liye, khud ko nasihat karne ke liye bhi istemal karte the.
Unka yaqeen tha ki jab aap dusro ko Iman ki daulat pesh karte hain to khud aapka Iman zyada ho jata hai.
Maine apne tajurbat se paya hai ki yh baat sach hai. Aap jo dusro ko dete ho, khud wohi paate ho.
Comments
Post a Comment